khty ho k chup rho k ab batien khatam hain
kh do k tmhen batien krne ka dil ab he nahin
khtay ho k ab jao yahan se hmain yun tng na kro
kh do k tmhen sath nibhanay ki chah ab ha he nhi
khty ho k ab tmhara mera sath ikhtitam ko puhncha
kh do k jo pal sath bitaey hn wo kbhi yad aeyngy nhi
khty ho k ye silsila e muhabbat dagdar hai jhoot hai
kh do k bss tmhen hmaari muhabaat ka aitbar he nhi
khty ho k apna payar dil anaayatain dfnaa chukay ho ab
ye kion nhi khty k hm se taluq nibhanay ki koi wja he nhi
khty ho k hm ne dukh dia aur tora hai tmharay dil ko
tora jo hm ne hai tou ab kya hum isay jorain b nahin
khty hain hm tmhen k ab jao aur sath chor do hmara
kionk ye maloom hai k tere bina hm jiyengy b nahin
ma keh dun k jeenay ki koi khawish nhi hai ab iss dil ko hasnaat
ye kesay kahun k tum bin ksshi ki bchi ab zindagi bhe nahin
tm khty they k janaan tere bina jeenay ka tsawwar he nhi
aj hmari 2 se zada batien krne pe pass rhny detay b nahin?
tum keh do k jao chor char k sb kch chli jao
kesay kahun k tm bin ik pl guzrta he nahin?
wo tmhara bar bar whtsapp se janay k liay plz plz khna?
qssam se jan jao k ks qdr drd hota hai tou kbhi kahogy nhi
ma pagal the jo teri hr bat ko sch maan lia ma ne
qasam Khuda ki jhooti meri muhabbat bhe nahin
tou khta tha k ajkl bss tuu he tu hai kssshiii
aaj ka tou dikhta ha lakin kal ka pta he nahin
chl aaj ye ma khud se kh dun k tu sch tera hr wada sch
shayd k tere waadun ma kisi kl ka koi waada he nahin
tu jan le k kis qadar dil ko aarzoo hai teri
tu jan le k kis qadar dil ko tarap hai teri
tu jan le k ks qadar abkhen roi hn tere liay
tu jan le k ks qadar payaar hai mjhy tm se
qasam se tu kbhi mjhy chor kr jaeyga nhi
tjh se milnay k liay kahin manatain maangi hain hasnaat
tere na milnay se wo mntain kbhi poori hongi nahin
meri hr bat jhooti hr afsana hr khwab jhoota
mgr ae janaan schi teri bhe herr baat nahin
meri roodad ma agrcha zoq e sukhan bht km hai jaanan
teri hr bat khnay pe muhabt se jagi writer ab jagegi nhi
ma maanti hun k meri muhabt chnd lfzun ki muhtaj nhi hny
alfaz khtm jzbat khtm mgr dil se kbhi muhbt khtm ho gi nhi
tm khtay ho k muhabbat k bina insan shair nhi kh skta
mjhy kion lgta hai merr shayri ki ab koi haisiat he nhi
ma kitna likhun kitna likhun k teri yaad na aey mjhay
ma kya krun k meri aankhen tjyy yad k kr roein b nahin
aansso nhi hain ....teri pyaari yadun ki brsaat hai ye
lkn drti hun k ma in ma beh kr ta umr kho na jaun kahin
teri yaadein dil ko sukoon se rhany nhi deti hasnaat
mere in drdun ka ilaaj kiay bgair tu kahin jana nahin
kis munh se tjhy rokun teri shaan ma kch kahun
kionk ab ma shyd teri minnat krne k qabil b nhi
tm khty ho k hmari batun ne tmhen ktny din tk rulaya
ab tumhari yadun ma kya hm umr bhr royengy nahin
smjh nahin ati k fqt Allah se ab zindagi mangun ya phir mout
tu apne sath rkhna nhi chahta ma tere bgair reh skti he nahin
mere zoq ma zrf ma kmi ho gi shyad hasnaat
lkn teri batun ko dimagh se kbbi socha he nhi
tm jo khty ho k jb milna nhi tou iss bat ka faida kya hai
maloom hmain zindagi ki shaam honay ka bhe nahin
drr si gae ma aaj jb dekha ma ne ainay ma khud ko
ye thaan lia k tere bin ab ainay ma dekhungi he nhi
aina b wohi jo zahri rang ko dikhata hai shayd
kionk kisi drd ko dikhnay wala aina bna b nahin
syaanay khty hain k dil b ak ainaa hai srtaaj
lakn uss ainay ko sahi se shyd dekha he nhi
dekh leta tou saaf nhi aks tou nzar aa jata hmara
lakin shayd tjh ma ye bat krne ka hosla he nahin
na phly na ab ma magti hun tjh se kch b jaan
lkn apni duano ma ab tou mjhy mangna b nhi
maangun gi nahi kionk shyad tou chahta hau
dil ko bnanay wala shyd tjhy dil se nikaly ga nahin
meri bebssi tou dekh k shair b kh rhe aur ro b rhe
teri tsweer ma b hlki si udaasi mjhy brdaasht nahin
ma teri khushi mangti hun Rabb se k tere drd mitt jaien yar
lakin shyd gunahon k sbab meri dua ma b koi asar he nahin
iss shoq se yqeen se mangun gi ma tere liay hr pal dua
k mere sohnay Allah k han dhair hai magar andher nahin
Poet : Jaan e Mann